Wednesday, June 29, 2011

!!!Poojne lag gayi duniya but ko!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Yuhi de-de ke tohmato ka kafan!!!
Karte jaate hai muhabbat ko dafan!!!

Ishq hai deen-e-Rab samjha na koi ,,
Kitna naada hai zamaana ye watan!!!

Kaifiyat leke tasawwur ki koi ,,
Rang daali kai rshweer-e-zahan!!!

Reh gaya banke numaish hi faqat ,,
Is jamane me musawwir ka ye fan!!!

Kis aqeedat ne tarasa patthar ,,
Jaan paya na jamana ye shikan!!!

Poojne lag gayi duniya but ko ,, 
Koi samjha na sang-taras ka man!!!

Shayri sachchi ishq-e-nab se hai ,,
Shiddate dil se hai gazlo ka chalan!!!

Sher-o-fan ab hai tamasha "AFROZ" ,,
Kon samjhe ga ye jazba-e-sukhan!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

No comments:

Post a Comment