Wednesday, June 29, 2011

!!!Hasrat-e-dil ki beqaraari me!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Hasrat-e-dil ki beqaraari me!!!
Waqt kismat ki mara-mari me!!!

Dab ke reh si gayi hai aas sabhi ,,
Na ummidi ki barf-baari me!!!

Chahato ka hai jaal chaaro taraf ,,
Dil hai baichaara giraftaari me!!!

Reza-reza hai aarzu lekin ,,
Ek tamanna hai gamgusari me!!!

Dukh ke kaanto ki takhtshaahi hai ,,
Is muhabbat ki taajdari me!!!

Gam ka khushiyo ka tana-bana hai ,,
Har muqaddar ki dastkaari me!!!

Raat-din ki hai ek jaddo-jahad ,,
Hai hi kiya aur duniya daari me!!!

Bhool ke bhi tu na fasna AFROZ,,
Ishq , ulfat ya kisi yaari me!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

No comments:

Post a Comment