Sunday, October 23, 2011

!!!Jazba-e-dil hi meri shaayri ka mehwar hai!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Jazba-e-dil hi meri shaayri ka mehwar hai!!!
Kahi pe ishq hasheeN dard kahi nashtar hai!!!

Sada hi maine piroye hai lafz ulfat me,,,
Koi ye kehde muhabbat buri ya behtar hai!!!

Zehan me gardishe karta sahi galat ka hujum,,,
Mere waqar ke chaaro taraf hi lashkar hai!!!

Jise bhi dekhiye karta hai wahi tanj se baat,,,
Na jane kiyo meri kosish pe sab ki tar-tar hai!!! 

Koi to kheechta hai rashq se mera daaman,,,
Kisi ke haath me dekho to mere collar hai!!!

Zubaan khul gayi meri gajab huwa ye bhi,,,
Uthe gi konsi ungli mujhe ye ab dar hai!!!

Yahi sahi hai ke AFROZ tu nahi qaabil,,,
Tera bayaN tera andaaz bad se badtar hai!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

Saturday, October 22, 2011

!!!Shokhi na aisi khushbu kisi bhi gulaab me!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Shokhi na aisi khushbu kisi bhi gulaab me!!!
Nooraniyat gazab hai rukh-E-mahtaab me!!!

Karde jo kam-tareen asar teri nazar ka,,,
Aisa nasha kaha hai kisi bhi sharaab me!!!

Masti si ang-ang me naaz-o-adaa ke saath,,,
Dooba huwa hai husn mukammal shabaab me!!!

Dekha hai jabse tujhko diwana hai dil tera,,,
Tujhse bichhad ke khoya hai dil tere khaab me!!!

Mehsoos tujhko karta hai har ek jagah pe dil,,,
Tu chhup gayi hai jaise yahi par hijaab me!!!

Bakhsa tha tune mujhko jo tohfa-e-muhabbat,,,
Vo phool ab bhi rakhkha hai meri kitaab me!!!

Bas itni kahaani hai wafa ki meri AFROZ ,,,
Tujhse bichhad ke dil hai ye jaise azaab me!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

Monday, October 17, 2011

!!!Kargujar karna hai jo bhi kuchaye sansaar me!!!


▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Kargujar karna hai jo bhi kuchaye sansaar me!!!
Bekhabar jayaz hai sab ek jang me aur piyaar me!!!

Muddato se kashmakash hai ishq aur duniya ke beech,,,
Bas yahi anjaam tera hai visaal-e-yaar me!!!

Kese ho ruswaaiyo se shohrat-e-ulfat ki dhoom,,,
Jab talak aashiq na tadpe kucha-e-dildaar me!!!

Kardiya hai dil ko hamne teri ulfat ke supurd,,,
Jaan jaati hai to jaaye ishq ke darbaar me!!!

Katal karde meri ulfat ko meri chaht ke saath,,,
Itni takat hai kaha ab teer ya talwaar me!!!

Aise jazbo ki ab dekhe kon karta hai kadar,,,
Mol hai makkariyo ka duniya ke bazaar me!!!

Dekh le AFROZ aakar tu mere jazbaat ko,,,
Bas muhabbat hi milegi mere har ashaar me!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬

Thursday, October 6, 2011

!!!Meri gali me haseeN ek kaaroon rehta hai!!!


▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Meri gali me haseeN ek kaaroon rehta hai!!!
Jamal-o-husn ka us par sutoon rehta hai!!!

Mai mangta hu jab bhi usse muhabb ki jakat""
Labo pe uske sada bas vo noon rehta hai!!!

Khafa-khafa sa vo aksar hi dilruba sa kabhi""
Na jaane kisse mutassir mamnoon rehta hai!!!

Use to rehta hai apni adaa pe naaz-o-fakhar""
Mujhe bhi ishq par apne junoon rehta hai!!!

Bayaan aur karu kiya mai sangdili uski""
Rulaake mujhko bada pur-sukoon rehta hai!!!

Mere hi haal pe rota hai dil mera aksar""
Sada hi ashqo me jaari ye khoon rehta hai!!!

Bas ek aas hai AFROZ kal vo kehde haaN""
Isi ummeed pe dil ko sukoon rehta hai!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬

Friday, September 30, 2011

!!!Kalam ko dil se uthaane me aur kiya hoga!!!


▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Kalam ko dil se uthaane me aur kiya hoga!!!
Yu soye fan ko jagaane me aur kiya hoga!!!

Lo aaj ban ke rahe ga koi shahkaar naya""
Ki haal dil ka sunaane me aur kiya hoga!!!

Hamari ajazi lafzo me tera tanj-o-guroor""
Meri wafa ke fasaane mai aur kiya hoga!!!

Jamal-e-rukh pe takabbur ye tang-dili teri""
Sitam ye naaz uthaane me aur kiya hoga!!!

Ada-e-hushn kashish saadgi haya ke siwa""
Ae shokh tere khazaane me aur kiya hoga!!!

Hai pas tere bahut kuchh magar wafa hi nahi""
Gareeb tujsa zamaane me aur kiya hoga!!!

Koi to roothe ga AFROZ ke ahwaal pe aaj""
Gila yu sabko jataane me aur kiya hoga!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬

Friday, July 22, 2011

!!!Ye lafz muhabbat ka mai ab lab se kiya kahu!!!


▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Ye lafz muhabbat ka mai ab lab se kiya kahu!!!
Ruswaai mere ishq ki ab sab se kiya kahu!!!

Chhoda na mujhe deen na duniya me kahi ka""
Loota hai mujhe tune kis kartab se kiya kahu!!!

Najro ka teer maar ke chheena hai dil mera""
Gurbat me jee raha hu yaha jab se kiya kahu!!!

Ab tuhi aake zindagi meri khush-haal kar""
Tu ho meri to jeene lagu tab se kiya kahu!!!

Rehti hai sada tu hi  mere dil ke aas-paas""
Ye sher-o-shukhan hai teri qurbat se kiya kahu!!!

Mujhko nahi khabar ke tu kabse hai mera piyar""
Ye shaayri shuru hui mai kab se kiya kahu!!!

AFROZ keh rahe hai sab hai shaayri gunah"" 
Pehchaan meri hai isi adab se kiya kahu!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬

Friday, July 15, 2011

!!!Aankhe jaagi teri ulfat me na laali jaaye!!!


▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Aankhe jaagi teri ulfat me na laali jaaye!!!
Tujhse hatkar to koi chaah na paali jaaye!!!

Teri ulfat tera armaan teri chaah wafa””
Teri hasrat naa yu is dil se nikaali jaaye!!!

Jab na aaye tera armaan mere dil me nazar””
Koi ek din bhi na aisa kabhi khaali jaaye!!!

Mujhko karde tu mukarrar hi nigehbaan tera””
Tujhse ye hushn ki dolat na sambhaali jaaye!!!

Mai banata hu in lafzo se tere hushn ka aqs””
Tu mile mujhko ya aadat ye niraali jaaye!!!

Tu kehe to mai chala jau teri bazm se door””
Baat mujhse na teri ab koi taali jaaye!!!

Deed mil jaye ye hasrat hai deewane dil ki””
Kese dar se tere khaali ye sawaali jaaye!!!

Dil mera ho gaya AFROZ yuhi tera mureed””
Aur tohmat koi is dil pe na daali jaye!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬

Thursday, June 30, 2011

!!!Muhabbat me yu barbadi meri haalat nahi hoti!!!


▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Muhabbat me yu barbadi meri haalat nahi hoti!!!
Yu dil ko todna gar hushn ki fitrat nahi hoti!!!

Juda hote na ham-tum raahe ulfat me kabhi aise"
Tumhe gar rooth jaane ki buri aadat nahi hoti!!!

Adhuri ek tarfa hai kahani ab tumhaare bin"
Akele mujhse mukammal meri ulfat nahi hoti!!!

Na jane kaise mumkin hai ye tanhai suna tha yu"
Agar ho ishq sachcha to kabhi furqat nahi hoti!!!

Agar hota tumhe ehsaas toheen-e-wafa ka to"
Muhabbat yu bhari mehfil me behurmat nahi hoti!!!

Suna hai ye bhi ke badnaam na ho gar koi aashiq"
Wafa ke shahar me haasil use shohrat nahi hoti!!!

Hajaro thokre khaale sambhalna hai agar AFROZ"
JahaaN me yu hi muyassar koi ibrat nahi hoti!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬

Wednesday, June 29, 2011

!!!Aasma aaj pasopaish me hai!!!


▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Koi mushkil me koi aish me hai !!!
Koi bebas to koi taish me hai !!!

Zindagi udte chand gubbaare ,
Koi girta hai koi gaish me hai!!!

Jane kis simt jaa rahe hai sabhi ,
Saamil har ek fana ki raish me hai!!!

Koi jakdaa hai baidiyo me kahi ,
Koi uljha kisi ke kesh me hai!!!

Chappe-chappe pe sulagti hai wafa ,
Kaisi wahsat ye mere desh me hai!!!

Kisko kehde yaha insaan bhala ,
Har darinda hi isi bhes me hai!!!

Dekh kar haal juda range-jamee,
Aasma aaj pasopaish me hai!!!
Aasma aaj pasopaish me hai!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬

!!!Gam na kar saath tere meri wafa rehti hai!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Tere chehre pe jo maasoom ada rehti hai!!!
Mere dil ke wahi najdeek sada rehti hai!!!

Teri khushbu se mahakta hai ye sukhan mera ,,
Teri chaahat mere shero me sada rehti hai!!!

Mai nibhaata hu muhabbat se teri nafrat bhi ,,
Fir bhi ilzaam hai ki meri khata rehti hai!!!

Paas hokar bhi mere hoti hai tu door bahut ,,
Zindagi ki tarah tu mujhse juda rehti hai!!!

Sabse milti hai muhabbat se khus mijaaji se ,,
Jaane kiya baat hai tu mujh se khafa rehti hai!!!

Ja raha hu mai ab ye chhod ke duniya AFROZ ,,
Gam na kar saath tere meri wafa rehti hai!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

!!!Kabhi to ishq ki uljhan kabhi hayaat ke gam!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Siwaaye maut ke manzil numa nahi hoti!!!
Laga hai rog wo jiski dawa nahi hoti!!!

Bikhar gai sabhi khusiya zindagi ki tarah,,
Ye kehar-e-zindagi sabko ataa nahi hoti!!!

Kabhi to ishq ki uljhan kabhi hayat ke gam,,
Zindagi firbhi ye apni fanaa nahi hoti!!!

Ham bhi marte na kabhi husn me faskar uske,,
Jo uske paas ye qaatil adaa nahi hoti!!!

Use bhi paa hi lete ham kuch na mushkil tha,,
Agar-che hamse ye kismat khafa nahi hoti!!!

Fareb itna diya hai jahaan waalo ne,,
Kisi ke saath ab hamse wafa nahi hoti!!!

Karenge aur ek koshish ye soch kar AFROZ,,
Khuda ke dar pe qubul har duaa nahi hoti!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

!!!Uske jaisi kashish phoolo me na qamar me hai!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Uske jaisi kashish phoolo me na qamar me hai!!!
Aisi nooraniyat guncho me na sajar me hai!!!

Aisi rangat nahi raushan kisi bhi waadi me ,
Husn aisa kahi gaavo me na shahar me hai!!!

Jidhar bhi dekhu me rangeeniya hi dikhti hai,
Usi ka aqs hi shaayad meri nazar me hai!!!

Uski aankhe to hai gehri har ek saagar se ,
Itni gehraai to jheelo me na bhavar me hai!!!

Saaz hai uski hi paayal ka sabhi maujo me ,
Uski masti hi to darya ki har lahar me hai!!!

Uske hi noor se raushan huva aangan mera ,
Usike husn ki rangat hai mere ghar me hai!!!

Piyaar uska hi dhadakta hai mere seene me ,
Usi ki aarzoo hasrat mere jigar me hai!!!

Vaadi-e-husn me uske hai ajab rang ke phool ,
Vo to 'AFROZ' jawani ki ab umar me hai!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

!!!Jhuki jhuki si najar ko hayaye bakhshi hai!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Jhuki jhuki si nazar ko hayayeN bakhshi haiN!!!
Dhadakte dil ko hamare sadayeN bakhshi haiN!!!

Yahi to khel hai kismat kaarsaji ka ,
Hame wafa di to unko jafaye bakhshi haiN!!!

Dil-e-jawan ko dedi hai ishq ki daulat ,
Jamal-e-yaar ko qatil adayeN bakhshi haiN!!!

Dilo-dimaag mr rehti hai kashmakash aksar ,
Ye unke hushn ko kaisi fizayeN bakhshi haiN!!!

Diya hai tan koi purnoor sange mar-mar sa ,
Julf mehki hui kali ghatayeN bakhshi haiN!!!

Nigaah chhu ke usi rukh ko laut aati hai ,
Meri nazar ko ye kaisi khatayeN bakhshi haiN!!!

Bana hi deta hai tehreer jazbay-e-dil ki ,
Dil-e-AFROZ ko rab ne kalayeN bakhshi haiN!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

!!!Husn tera jahaaN pe chhaaya hai!!!


⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Shokhi lab pe tere numaya hai!!!
Tune dil ko mere lubhaya hai!!!

Nargisi aakhe chand sa chehra ,
Naqs kaisa ye toone paaya hai!!!

Husn tera hai phool kaliyoN sa ,
Sang-e-mar mar si teri kaya hai!!!

May me dooba hai tan badan tera ,
Tere ango me ras samaya hai!!!

Dono aalam ko bhool kar Rab ne ,
Dil lagaakar tujhe banaya hai!!!

Jisko kehti hai shaayri duniya ,
Tera chahra hai tera saaya hai!!!

Husn tera hi banke lafz-o-sukhan ,
Meri har ek gazal me aaya hai!!!

Kiyo na keh du tujhe AFROZ-e-zameeN,
Husn tera jahaaN pe chhaaya hai!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮