✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮
Chaahiye thi koi daulat naa khazaana tujhko!!
Dil mere bhaata nahi fir kiyo zamaana tujhko!!
Ab kiyo sunta nahi meri hai kaha sabr-o-qarar,,
Kitna mushkil huwa baato se manana tujhko!!
Saaz-e-ulfat kiyo bajata hai yaha sham-o-sehar,,
Gaana aata hi nahi jab ye taraana tujhko!!
Faske duniya me mere dil tu kahi ka na raha,,
Chaahta tha mai bahut deen sikhaana tujhko!!
Rizque akhlaaq ki daulat ya koi naam-e-wafa,,
Konsa zar hai zamaane me kamaana tujhko!!
Kiya khata meri jo mene tujhe paagal samjha,,
Duniya kehne lagi ab dekh diwaana tujhko!!
Din-b-din hai naye AFROZ kayi sher o sukhan,,
Kaun sikhlaaya hai ye baate banaana tujhko!!
✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮

No comments:
Post a Comment