Sunday, February 17, 2013

!!Darde dil piyaar mohabbat ko badha deta hai!!


⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Darde dil piyaar mohabbat ko badha deta hai!!
Bekali tishnagi hasrat ko badha deta hai!!

Jab bhi lagta hai kahi dil ye diwaana bankar,,
Wafa ki shaan ko azmat ko badha deta hai!!

Ishq hota hai fana jab bhi sar-e-aam kahi,,
Hushn ki dilkashi shohrat ko badha deta hai!!

Zikar aata hai tera jab bhi zubaaN par meri,,
Dil ke ahsaas ki Shiddat ko badha deta hai!!

Door hota huN to hoti hai tapish yaadoN ki,,
Hizar tera game furkat ko badha deta hai!!

Ab to asbaab-e-kamaai hai tasawwur tera,,
Mere ash'aaroN ki daulat ko badha deta hai!!

Ham the qaabil kaha AFROZ gazal goi ke,,
Piyaar tera meri taakat ko badha deta hai!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮



1 comment: