✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮
Jo kar saka na koi mai aisa kaam kar dooN!!
Seene ko cheer apne dil tere naam kar dooN!!
Agaaz-e-hasrat-e-dil, anjaam-e-aarzoo aur,,
Dil ki har ek tamanna tujh par tamaam kar DooN!!
Dekhu tujhe sadaa bas souN na ek pal ko,,
Mai ishq me tumhaare neende haraam kar dooN!!
Gehri si ye nigaaheN mai doob jaauN inme,,
Karke fana mai khudko tujhko salaam kar dooN!!
Bekhof ishq hai gar anjaam-e-darr kaha hai,,
Mai zindagi ki apni subhoN ko shaam kar dooN!!
Gar in tabaahiyo ki tujhko khabar bhi pahunche,,
BarbaadiyoN ka meri charcha mai aam kar dooN!!
AFROZ e zindagi ki hasrat hai ye niraali,,
Khush tu rahe sada mai koi aisa kaam kar dooN!!
✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮✿⊱╮

No comments:
Post a Comment