Friday, February 3, 2012

!!!Watan hai mera HINDUSTAN zubaan HINDI hai!!!


⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ 
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
Watan hai mera HINDUSTAN zubaan HINDI hai!!!
Khayaal-o-dil ka har saaz-o-samaan hindi hai!!!

Basi hai mere zehen me jigar me rag rag me,,,
Juda na hogi ye is dil ki jaan HINDI hai!!!

Nizamuddin aur Khushro ka adab hai ye zuban,,,
Mushq-tehzeeb ye mughlo ki aan HINDI hai!!!

Hui hai daur-e-khiza me ye siyasat ka sikaar,,,
Bani tableeg se sach hai ye shaan-e-HINDI hai!!!

Judi hai katro ke tarha ye shahad ke jaise,,,
Shahad se meethi ye misri zubaan HINDI hai!!!

Diya na hamne koi naam aur kaha URDU,,,
Khuda gawah ye haqeeqi zubaan HINDI hai!!!

Nahi hai bikhri ab AFROZ ye lashkar jaisi,,,
Kaho na URDU mukammal zubaan HINDI hai!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
 ★  ★  ★  ★  ★  ★ 
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
★  ★  ★  ★  ★  ★  ★  ★  ★  ★  ★  ★  
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
वतन है मेरा हिंदुस्तान जुबान हिन्दी है!!!
ख़याल-ओ-दिल का हर साज़-ओ-सामान हिंदी है!!!

बसी है मेरे ज़हन में जिगर में रग रग में,,,
जुदा ना होगी ये इस दिल की जान हिन्दी है!!!

निजामुद्दीन और खुशरो का अदब है ये जुबान,,,
मुश्क-तहज़ीब ये मुगलों की आन हिन्दी है!!!

हुई है दौर-इ-खिज़ा में ये सियासत का सिकार,,,
बनी तबलीग से सच है ये शान-ए-हिन्दी है!!!

जुड़ी है कतरों के तरह ये शहद के जैसे,,,
शहद से मीठी ये मिश्री जुबान हिन्दी है!!!

दिया ना हमने कोई नाम और कहा उर्दू,,,
खुदा गवाह ये हकीकी जुबान हिन्दी है!!!

नहीं है बिखरी अब अफरोज ये लश्कर जैसी,,,
कहो ना उर्दू मुकम्मल जुबान हिन्दी है!!!
▬▬▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬▬▬
★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ ★ 
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Zubaan-e-Hind Hindi (Urdu) ko mera ek chhota sa nazraana,,,
Naseem Nigar Hind


Sunday, October 23, 2011

!!!Jazba-e-dil hi meri shaayri ka mehwar hai!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Jazba-e-dil hi meri shaayri ka mehwar hai!!!
Kahi pe ishq hasheeN dard kahi nashtar hai!!!

Sada hi maine piroye hai lafz ulfat me,,,
Koi ye kehde muhabbat buri ya behtar hai!!!

Zehan me gardishe karta sahi galat ka hujum,,,
Mere waqar ke chaaro taraf hi lashkar hai!!!

Jise bhi dekhiye karta hai wahi tanj se baat,,,
Na jane kiyo meri kosish pe sab ki tar-tar hai!!! 

Koi to kheechta hai rashq se mera daaman,,,
Kisi ke haath me dekho to mere collar hai!!!

Zubaan khul gayi meri gajab huwa ye bhi,,,
Uthe gi konsi ungli mujhe ye ab dar hai!!!

Yahi sahi hai ke AFROZ tu nahi qaabil,,,
Tera bayaN tera andaaz bad se badtar hai!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮

Saturday, October 22, 2011

!!!Shokhi na aisi khushbu kisi bhi gulaab me!!!



⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮
Shokhi na aisi khushbu kisi bhi gulaab me!!!
Nooraniyat gazab hai rukh-E-mahtaab me!!!

Karde jo kam-tareen asar teri nazar ka,,,
Aisa nasha kaha hai kisi bhi sharaab me!!!

Masti si ang-ang me naaz-o-adaa ke saath,,,
Dooba huwa hai husn mukammal shabaab me!!!

Dekha hai jabse tujhko diwana hai dil tera,,,
Tujhse bichhad ke khoya hai dil tere khaab me!!!

Mehsoos tujhko karta hai har ek jagah pe dil,,,
Tu chhup gayi hai jaise yahi par hijaab me!!!

Bakhsa tha tune mujhko jo tohfa-e-muhabbat,,,
Vo phool ab bhi rakhkha hai meri kitaab me!!!

Bas itni kahaani hai wafa ki meri AFROZ ,,,
Tujhse bichhad ke dil hai ye jaise azaab me!!!
⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮⊱╮